Backup Blogger Blog: Blogger top free blogging platforms me se ek hai jo bahut sare limitations ke sath aata hia. Jisme sabse badi limitation ye hai ke hamare blog ka control Google ke pass hota hai. Google aapke Blog ko kabhi bhi delete kar sakta hai. Aisa tab ho sakta hai jub aap apne blog ko spamming ke liye use karte hai. Ek chiz jo aap Google ke guidelines ko follow karne ke sath hi kar sakte hai wo hai apne blog ka time to time backup lena. Ye aapko ensure karega ke agar aapke data ke sath future me kuch hota hai to aap use restore kar sakte hai.
How to Backup Blogger Blog
Koi bhi Blogger user Blogger ke export feature ka use kar ke apne post aur comment ka poora backup le sakta hai aur ise dusre blog pe import kar sakta hai. Ye backup .xml format me hoga aur aap ise apne local desktop pe store kar sakte hai.
- Blogger pe Sign in kare
- Top left corner pe down arow pe click kare aur us blog ko select kare jiska aap backup lena chahte hai.
- Left side me menu me Settings pe click kare uske baad Other pe
- “Import & back up” section me Back up Content pe clickkare uske bad Save to your computer pe jayen
Blog’s theme ki copy save kare
- Top left corner pe down arrow pe click kare aur us blog ko select kare jiska aap backup lena chahte hai.
- left menu me Theme pe click kare
- Top right corner me click Backup / Restore pe click kare
- Download theme ke option pe click kare
Posts aur comments ko blog me Import kare
Aap apne posts aur comments ke .xml file ko apne blog me import kar sakte hai.
- Top left corner pe down arrow pe click kare aur us blog ko select kare jispe aap post aur comments ko import karna chahte hai.
- Left side menu me Settings pe click kare uske baad Other pe
- “Import & back up” section me Import Content pe click kare
- Import from computer pe click kare
- Apne computer se .xml file ko choose kare
- Publish pe click kare
No comments:
Post a Comment