Wednesday, May 12, 2021

5 Best Voice Recorder Apps for Android

 

Kisi bhi Android device ki bahut saare features me se ek aasan feature hai record karne ki ability. Yah Voice recording ko bahut aasan bana deta hai. Yah lectures ko record karne, meetings, songs, conversations, interviews aur bahut saari chizon ko record karne ke liye useful hai. Sabhi Android smartphone basic voice recording feature se equipped hote hai, lekin unme se zyatar me kamiyan hoti hai. Yahi wajah hai ke Android ke liye kuch khas Voice recording App ki zaroorat hoti hai. Third party Application zyada feature aur functionalities ke sath aata hai. Lakin bahut se free me online available App me humare liye ye  decide karna mushkil ho jata hai ke kaun sa zyada behtar hai. Aapki isi pareshani ko khatm karne ke liye aaj hum aapke liye le kar aaye hai kuch Best voice recorder apps for Android. To aaeye dekhte hai best Android voice recording App ki list.

Call recorder

Price: Free / $3.99
Call recorder
Developer: BACHA Soft
Price: To be announced 
Call recorder sab se popular voice recorder app me se ek hai. Ye aapke Phone call ko automatic record karta hai. Halaki ye normal use ke liye bahut accha nahi hai. App me incoming aur outgoing call recording playback options, white and black lists, jaise bahut se feature hai. Iska free version Add ke sath aata hai aur pro version bina add ke lekin dono version lagbhag ek tarah se hi kaam karte hai.
Important features of Call recorder:
  • Recordings ko important mark kar sakte hai.
  • Privacy ke liye password set kar sakte hai.
  • Aap source set kar sakte hai  (Mic, Voice call, camcorder)
  • Aap number, contact, non-contact ya selected contacts ya sabhi call ko record kar sakte hai.
  • Recording ko app Dropbox, Google, SMS, Skype, FaceBooks pe share kar sakte hai.
In sab ke alawa is App me bahut se aur bhi features hai jise aap Download kar ke enjoy kar sakte hai.

Voice Recorder 2018

Price: Free
Voice recorder ek high-quality voice recording Application hai, aap apne recording ko voice memo ke roop me store kar sakte hai aur apne friends ko unhe share bhi kar sakte hai. Ye audio recorder application aapko best recording experience high quality ka use karta hai. Yah istemal karne me aasan,  simple UI aur instant start jaise feature ke sath ek best option hai.

Important features of Voice recorder

  • Yaha  pe aapko On-screen functionality milegi
  •  mp3, Ogg file formate diya gya hai.
  •  Audio file ko Play, pause, stop kar sakte hai.
  • Recording ko Send/Share kr skate hai
  • App se Recording file Delete kar sakte hai
  • Recording file ko save kar sakte hai
  • Apne audio recording ko Edit aur trim kar sakte hai.

Voice Recorder Pro

Price: Free / $1.99
Diktiergerät
Developer: Splend Apps
Price: Free+ 
Voice Recorder ek free, full featured, khubsurti ke sath design kiya gya, Android ke liye ek audio recording App hai. Ye sound recorder time ki limit ke bina high quality recording provide karta hai. Aap voice note aur memos record karne ke liye, business meetings, interviews, lectures, speeches, concerts aur iske alawa bahut kuch karne ke liye iska use ek regular dictaphone ki tarah kar sakte hai. Yeh audio recorder external storage ke sath aur iske bina smartphone aur tablet pe acche se kaam karta hai.
Important features of Voice Recorder Pro
  • Is App me aapko 4 different audio formate milenge : MP3, high quality PCM (wav), good quality AAC (m4a/mp4) and AMR (3gp)
  • Screen ke off hone pe bhi background me recording
  • Selectable audio source (microphones or phone call)
  •  Auto start recording
  • Aap apne recording ko ringtone, alarm or notification sound ke taur pe set kar sakte hai.

Hi-Q MP3 Voice Recorder

Price: Free / $3.49
Hi-Q MP3 Recorder (Testversion)

Hi-Q MP3 Voice Recorder MOST powerful voice recording App me se ek hai. Yah MP3 me record karta hai. Jo sound file ko lagbhag har chiz ke sath virtually compatible banata hai. Iske sath hi recording khatm hone ke bad aap dropbox me automatically upload kar sakte hai. Yah widget support ke sath aata hai, jis se aap apne device pe apni pasand ka mic use kar sakte hai. Iske paid version me kuch zyada features hai, iska sirf downside ye hai ke ye phone call ko support nahi karta hai.

Important features of Hi-Q MP3 Voice Recorder

  • Simple aur Reliable
  • Wi-Fi Transfer
  • WAV, OGG, M4A, aur FLAC formats available hai.

Samsung Voice Recorder

Price: Free
Samsung Voice Recorder aapko ek high quality sound ke sath ek easy aur wonderful recording experience provide karne ke liye design kiya gya hai. Yah playback aur editing capabilities bhi offer karta hai. Samsung Voice Recorder me ek “Voice Memo” recording mode develop kiya gya hai jiski madad se aap apne voice ko text me convert kar sakte hai.
Recording start karne se pahle agar aapke phone me SD card hai to aapko directory path set karna hoga.
Is App me aap recording ke dauran call ko reject kar sakte hai, aap kisibhi point ko bookmark kar sakte hai, Home button pe click kar ke background ko record kar sakte hai.
Available recording modes
STANDARDI – s mode me aapko ek simple recording interface milega.
INTERVIEW – Is mode me aapke device ka top aur bottom dono microphone aapko aur aapke interview ko capture karne ke liye active ho jayega.
VOICE MEMO – Aapke voice ko record kar ke ise pon-screen text me convert kar dega.

No comments:

Post a Comment

Blogging as a Career || Everything you need to know !!

  Aaj humlog baat kar rhe hai   blogging   ( Blogging as a Career) ke bare me. Basically blogging ka matlb hota hai apne opinion ko writing ...