Wednesday, May 12, 2021

Blogging as a Career || Everything you need to know !!

 Aaj humlog baat kar rhe hai blogging ( Blogging as a Career) ke bare me. Basically blogging ka matlb hota hai apne opinion ko writing ke through logo ke samne rkhne ka, For Example : Apne new lunch koai Mobile liya, to us mobile ko lekr ab apka koai opinion hoga, aur aap use logon ke sath share krna chahte ho. To aap ek article likhnge aur use internet pe post kar denge. To jo likha hai apne vo huaa blog aur aap ban gye blogger. aur ye pura process kehlata hai blogging, Chaliye isko aur details me jante hai.

 benefits of Blogging

We Will Clear These Topics In This Article :

  1. What is Blog?
  2. What is Blogging ?
  3. What is Blogger ?
  4. Who can be a Blogger ?
  5. Why Blogging is Good?
  6. Is Blogging an Easy Job?
  7. Can Blogging be a Full-Time Career?
  8. What are the Benefits of Blogging?
  9. Requirements to start blogging.
  10. Some ways to earn from Blog .
  11. How much earn with a blog?

01 : What is Blog?

Blog jo hai vo online journal ya technical term hai, Jiska use kisi bhi chiz ko describe karne ke liye kiya jata hai, jiske through aap information le sakte hain. Simply blog ek aisa zariya hai jisse different different information ko logo tak phuchaya jata hai, Apko nearly 2 billion blogs aur website worldwide mil jyenge.

02 : What is Blogging ?

Blogging jo hai vo bahut se skills ka ek set hai jise run aur control krne ki zarurat hoti hai, Internet pe jitne bhi blog hain use create krne se lekr publish karne tak ke pure process ko blogging kehte hain.

03 : What is Blogger ?

Simple language me kahen to Blogger use kehte hai jo blogging karte hain yani ke jo blog post ko likhna, publish krna se lekr blog ko maintain krta hai use hi blogger kehte hain.

04 : Who can be a Blogger ?

Koai bhi blogging kar skta hai , ise karne ke liye koai age ki restriction nhi hai, Agr apke paas strong passion hai blog likhne ko lekr to aap blogging ko as a career soch skte hain kiyunki blogging long term process hai jise succeed hone ke liye patience aur time dono ki zarurat padti hai.

Blogging Mistakes

Yahan pe writing se ye matlb bilkul bhi nhi hai ki aap content likhiye aur publish kar dijye, Apka Content creative hona hi chahiye. Apko kuchh creative likhna hoga jisse log attract hon, Aur apki writing skill ke fan ban jyen. Apko isme hard work krna hoga tabhi aap isme succeed ho pyenge. Aur ek baar agr aap isme succeed ho jate hain fir to aap isse achhe khase paise earn kar skte hain.

To agr aapke paas ek achhi writing skill hai, jisse log apke likhe huye ko pasnd kren aur sath hi aap hard work vo bhi patience ke sath kar skte hain tabhi aap Blogger ban skte hain.

05 : Why Blogging is Good?

Blogging jo hai vo apke inner thoughts ka expression hai. iske zariye aap khud ka thoughts represent kar skte hain. Ye apko larger audience ke sath intract karne ka mauka deta hai vo bhi any chaos. Agar apke blog ko zyada audience follow krti hain to aap apne niche ke influencer ban skte hain.

In dino bhut se log professional blogger ban rhe hain jinko bhi kisi certain industry ki knowledge hai aur vo Affiliate Marketing ke through earning kar rhe hain. Ek professional blogger hone ka matlb hai koai boss nhi, Khud ki marzi, Flexible schedule aur jahan se bhi apki marzi ho aap blogging kar skte ho. Koai time jagh fix nhi rhega apka.

06 : Is Blogging an Easy Job?

Agr apka sawal hai ki hain ki blogging ek easy job hai to mera answer hai nhi, Agr aap sochte hain ki aap apna job quit kar ke blogging se easly paise kama skte hain to ye bilkul galat hai, Blogging much more difficult hai kisi full-time job se.

Magar main ye bhi kahungi ki Blogging easy bhi hai, agr aap certain topic ke liye passion rakhte hoto, Blogging apke liye difficult tab hogi jab aap isse paise banana chahoge. Apko bahut zayda passion ki zarurat hogi blog grow krne ke liye.

Jaisa ke aplogon ko pata hi hai kuchh bhi impossible nhi hai, To apko bus ek strong strategy ek road map ki zarurat padegi age badhne ke liye aur han sometimes thoda luck ki bhi.

07 : Can Blogging be a Full-Time Career?

Of course Yes, Blogging me full-time activity possible hai, Bhaut sare youth ajkal full time blogging kar rhe hain, lekin iske liye apko committed hona padega, Aur sabse impotent sawal ye hain ki kya apka right mindset puri tarh se hai ki aap apna blogging business build krna chahte hain.

Yahan pe apko koai bhi guarantees nhi hai aur nahi permanent job ki security . Ye bilkul apka decision hai, aur iske sath apko comfortable hona chahiye.

7 Types of Images To Use For Your Blog Posts

Aap Blogging me Full-Time Career banaiye ya nhi ye bhi completely apke upar depend karta hai, Agr apke paas creativity hai, aur aap blogging kar ke bahut achha feel karte hain, apke paas vo passion hai to aap bina jhijhak. Full-Time Career choose kijye. Lekin usse pahle hum apko ye janna bhut zaruri hai ki :

  • Blogging se earnings kuchh time increases ho jyegi aur kuchh time stable, Koai fix amount me earning nhi hai.
  • Jab full time basis pe kaam krna shuru kar denge to ye dhayan zarur rahe ki aap creativity aur quality ko loose nhi karen quantity dene ke chakkar me. Apko apna quantity ko mentain rakhna hai creativity aur quality ke sath.
  • Part time blogging karna easy hai magr jab aap pure time ke blogging krna choose karenge to apko zyada topics zyada content chahiye hoga.

To ye sari baten hain, aur agr aap insab chizon ke sath agree karte hoto blogging se aap decent earning pa skte ho.

08 : What are the benefits of Blogging ?

Regularly Blogging krne ke bahut sare benefits hain, Unmese kuchh ko humne yahan pe discribe kiya hai, Ye sare points jo apko clear krenge ki blogging apko kaise benifits dega :

Blogging be a Full-Time Career
  • Learning: Agr aap regularly likhna chahte hain to apko uske liye regularly padhna learn krnahoga, Aur aap zyadatar time reading aur learning kroge apne blog ke liye to aap har din nai nai chiz sikhoge.
  • Time Utilization: Jaisa ki aap regularly writing ke liye learn krte rhoge, to aap productive activities me apna time waste krna stop kar doge.
  • Influence: Jis bhi field me aap blog likhoge us field ke aap Influencer  ban jaaoge, Zyada log apse connect hokr apse knowledge gain krna chenge.
  • Monetizing : Aap apne blog ko Monetizing kar ke uspe apne product ko sell kar skte ho, Ye sabkuchh apke blog pe aa rhe traffic pe depend krega.
  • Better Comprehension: Jab aap apne ideas ko likh kar audience ke samne dalne lagoge to ye apka   better comprehension aur writing skills bhi achha hoga.
  • Stronger grip over language : Regularly Blogging se aap zyada conscious hote jaaoge sentence structures, readability, general grammar aur spellings me, Sath sath apki vocabulary bhi achhi ho jyegi.

09 : Requirements to Start Blogging :

Blogging me aap apna career asani se shuru kar skte ho, start krne ke liye apko sirf in chizon ki zarurat padegi, Joki apko easly available ho skta hain :

  • Laptop / Desktop ya Mobile lekin ye quite diffcult hoga pake liye, to agr apke paas laptop/Desktop hoga to achha hai.
  • English writing aur Speaking skill hona chahiye tabhi aap research kar paaoge kisi bhi topic ke bare me.
  • Internet Connection chahiye aap chahen to mobile data se bhiI chala skte hain.
  • Passion joki sabse importent hai.

10 : Some ways to earn from Blog:

Jab bhi aap sochte hain ki blogging se kis trh se paise earn krenge, to advertising sbase pahle mind me ata hai, Yes, WordPress pe ads on kar ke paise earn kar skte hain, lekin uske alawa aur bhi kuchh methods hain jo apke blog content ko monetize kar skte hain :

earn from Blog
  • Affiliate Marketing : Affiliate Program ko sign up kar ke aap, Apna affiliate link create kar skte hain aur useapne blog me daal skte hain, ab jo bhi apke Affiliate link ko follow karega, to apko referral commission milega. To aap Affiliate Marketing kar ke paise kama skte ho. Ajkal log Amzone flipcart pe affiliate link create kar earning kar rhe hain.
  • Display Google AdSense on WordPress : Google Adsense ek easy way hai apne blog se paise earn karne ka aapko apni script add krni hogi google se apne website pe aur fir displaying ads start ho jyega. apko evert time paise milnge jab bhi us add pe koai click krega to.
  • Sell Sponsored Blog Posts : Ab kisi company ko apne services ya product ki information degi to vo apko paise denge jisse aap unke product aur services ke bare me likho.
  • Get Paid to Write Reviews : Aap kisi product aur services ka review dekr bhi paise earn kar skte ho.

11 : How much earn with a blog?

Blogging ek zariya hai jahan pe aap knowledge aur information ko share karte ho, ye bilkul waisa hi jo news paper humlog daily lete hain.

To kaya Newspaper company earn krti hai ? Newspaper se humlogo ko daily ye pata lgta hai ki kya ho rha hai pure duniya me, So iska matlb hai Newspaper ke paas daily around millions of traffic aur visitors hai, Right ? aur vo millions gharo me newspaper jata hai, To Newspaper ke paas bahut sare companies aur brands ate hain apne products aur service ke promotion ke liye.

To agr apke blog me creative content hai, to log apko pasnd krenge aur jisse apke followers day by day badhenge aur ek din apke paas bhi achhe visitors honge aur blog pe achhi khasi traffic hogi, Fir aap apne blog pe bhi ads lagane ke liye eligible ho jaaoge bilkul newspaper ki tarh. To jitna zyada traffic ayegi apke blog pe utna zyada apko earnings hogi apki.

Bus itna hi, Hame umeed hai ke aapko ye article ( Blogging as a Career informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.

15 Beginners Blogging Tips To Make You Best Blogger.

 

Blog basically ek journal hai, Jo website pe available hota hai. Ek blog me update karne ki activity ko Blogging kahte hai. Aur jo koi blog likhta hai Blogger kahlata hai. Blog se ham apni baat puri duniya me pahuncha sakte hai. To is article me hum Beginners Blogging Tips ke bare me janege.

Aaj ke time me ek Successful Blogger banna asaan nahi hai kyunki aaj kal blogging ke field me competition bhut badh chuka hai. Ek achhe blogger banne ke liye sabse zyada zaruri hai ki aapko iss field ki puri jaankari rahe.

Blogger tips

Agar aap blog likhna start karne ka soch rahe hai, To chaliye hum apko ek ek kar ke top most Beginners Blogging Tips ke bare me batate hain.

  1. Love what you write:
  2. Focus on Helping Others
  3. Have a Big Plan
  4. Figure Out Your Brand
  5. Have a Content Plan
  6. Pay Attention to SEO
  7. Use Social Media Groups to Share Your Posts
  8. Write in-depth Articles
  9. Priority To Growing Your Email List
  10. Have Beautiful Graphics
  11. Learn to Adapt to New Things
  12. Be Authentic
  13. Get Down With Affiliate Marketing
  14. Maybe Also Offer a Service
  15. Have an Easy to Navigate Blog

01. Love What You Write :

To aap jante hai ki aap blogging se paise bhi kama sakte hai, hai na? Lekin agar iske pichhe apko koi junoon nahi hai to apne blog ko monitize karne ki koshish karne ka koi matlab nahi hai. Agar aap kisi chiz ke bare me kuch likh rahe hai aur apko wo likhna pasand bhi nahi, To koi bhi aapke post ko nahi padhge aur na hi share karega.

Blogging ek creative outlet hai, Aur ye ek bhut hi best way hai aapki personality aur aapki awaaz ko puri duniya tak phunchane ka. ham me se bhut sare log ye sochne lag jate hai ki blogging bhut hard hai, utna waqt bhi nahi hai, aur bass blogging chhorne ki soch lete hai.

Ye ham sabhi ke sath kabhi kabhi hota hai, Isliye hame thora blogging break lena chahiye. Ham sabhi ko kabhi kabhi kuch different karne ki zarurt hoti hai, khud ko bahar nikalne ki zarurt hoti hai. Jaise aap apne Family/Friends ke sah kuch waqt enjoy kare, Ya fir aap apni koi bhi man pasand chize kare.

Ab aap apne waqt ka istemal kar fir se re-energize kare, Kyunki Blogging ek journey hai, Aur iske bhut sare alag alag phase hai. Jo aapko uksata hai hai ki aap jo bhi likh rahe hai, aap ise pasand bhi kar rhe.

02. Focus on Helping Others :

Logo ke paas blog likhne ke bahut sare reasons hote hain, Kuchh log apni story btate hain, Kuchh review dete hain, Kuchh educated karte hain, Blogging ke pichhe koi bhi reason ho sakte hai, Aapko bus is chiz ka khayal rakhna hai ki apke article se logon ko help mile.

Log kisi bhi question ke answer k liye Google search karte hai. Agar unke Question ke Answer me aapka blog milta hai to ye kitni achhi baat hai. Aur aapko pta hai, jab aap dusro ki help karna start kar dete hai to kia hota hai?

  • Log apke blog post ko share karenge
  • Log apke blog post pe comment karenge
  • Log apke blog se connect hona chahenge Or apko follow bhi karenge

Aur is tarike se aap apne readers bhi grow kar sakenge.

03. Have a Big Plan :

Shuruat apko pura time blogging ke bare me janna hai, Basically apko ye janna hai ki aakhir blogging me kis kis chiz ki zarurat hai. Uske bad emailing, Social media aur monetizing ke bare me jane.

But insab ke bad jab apko blogging ke bare me sab kuch pta chal jae, To aap ko bhut kuch sochne ki zrurat hai. Aapko khud se puchhna hai ki, Aap blogging kyu karna chahte hai and aap apne blog ko 5 year baad kahan dekhna chahte hai? Aapko pura long term project sochna hai apne maqsad ko pane ke liye.

Ye beshaq apke blog ke Quality Or Content ko great bnane me bhut help kar sakta hai, aap bilkul apne blog pe focused rah sakte hai. jab apko pta hoga ke aapka goal kia hai to apko apna goal pura karne me asaani bhi hogi.

04. Figure Out Your Brand :

Ek beginner blogger jab apni brand ko develop karne ja rha hota hai. To use ye pta hona chahiye ki Ek blogger hone ke wajah se aapke brand ka meaning hai, Apki personality, Apki awaaz, Apki sonch.

Har ek chiz jo aap apne website pe dalte hai Grafics, blog ya fir kuch bhi. Wo ye dikhata hai ki aap wo sari chizen public ko batana chahte ho us chizon ko hi dekh kar hi koi bhi apke website pe rukna pasand karega.

To apke liye hai, Sabse pahle aap apne topics ko dekhiye, apne mood ko dekhiye aur fir apni awaaz. Agar aap apne topic ko pasand kar rahe hai to aage badhiye. Jaisa ki mai first point me mentioned kari ‘Love What You Write‘ ise hamesha follow kare.

05. Have a Content Plan :

Ye bhut important Beginners Blogging tips hai, Aap jab blogging start karte hai, To apke pas content plan hona chahiye. Ki aap next kis topic ke bare me likhne wale hai.

Agar aap content planing se chalenge, To iss planing se apko blog likhne me bhi asaani hogi aur apko phle se hi pta hoga ki aap kya likhne wale ho to zayada tension bhi nahi hogi.

06. Pay Attention to SEO :

SEO ka full form search engine optimization hota hai. Aur ye apke blog ko Google rank me lane ke liye pura help karta hai, Agar koi apne kisi question ko google pe search karta hai aur uske answer me apka show hota hai, To hai na bhut achhi baat.

New blogger ke liye ye position jaldi milna mumkin nahi hai, Kyunki SEO pe command rakh pana thora tough hota hai. Lekin apke liye SEO samjhna bhut zaruri hai. Aap position ke liye nahi, Balke apne audience ke liye SEO samjhye, Audience ko samjhate hue likhenge, To aapki post Audience bhut pasand bhi kar sakti hai.

07. Use Social Media Groups to Share Your Posts :

Ye bhut hi Best blogging tips hai, Mai bhut pahle hi jaan gyi thi ki hamare audience social media pe hi milenge. Mostly audience update rahne ke liye social media istemal karte hai. Isliye apne blog post ko social media pe zarur share kare.

Beginners blogger ke liye ye track bilkul sahi hai, Ki wo social media ke zariye apne blog pe traffic bna sakte hai. Agar beginners apni website ko Google rank me lana chahte hai, To social media ko avoid bilkul bhi nahi kare.

08. Write in-depth Articles :

Aap jante hai 2000+ words ke hi Article Google rank me best position me ate hai. ab wo din nahi rahe ki 500+ words ke article apko Google rank tak phuncha sake.

Google hamesha apne users ko best information chahta hai, aur un websites ko hi ranking me dalta hai jiske pas Quality Quantity ke sath sath important informations hote hai.

Agar aap month me 10 short Article likh rahe ho to usse achha hai ki aap month 2 ya 3 hi long article likho, isse aapko long time tak faida ho sakta hai.

09. Priority To Growing Your Email List :

Ham hamesha dekhte hai ki blogger apne Facebook, Instagram, twitter, insab pe apna fan followers badhane me lage hote hai, apne blog pe traffic lane ke liye. jab ki ye bilkul bhi profitable nahi hai. Apke website ke liye Email list sabse important priority hai.

Aap khud soche Facebook apke page ko down bhi kar sakta hai, agar aap facebook ke rule ko violate karte hai. Kyunki Facebook apka apna to hai nahi, Waise hi Instagram, Twitter etc. koi bhi apke page ko down kar sakta hai, agar ap unke terms and condition ke against kuch bhi karte hai.

But Email list me aesa kuch bhi nahi hai. Aap khud owner honge apne Email list ke, koi bhi apke Email list ko down nahi kar sakta. aap apne Email list ko control karne ki sari authority rakhte hai. Isliye aapko apne email subscriber ko badhane me hi time spend karna chahiye, na ki Facebook, twitter, instagram etc.

10. Have Beautiful Graphics :

Agar aap Freepik.com ya pinterest user hai, To aap apne blog ko Graphic/ image se aur bhi attractive bna sakte hai.

Ye SEO based se bhi important hai ki aap apne blog me at least 1-2 image zarur lagae, aur ye apke readers ko bhi attract karti hai. agar aap cost ke wajah se graphic designer ko hire nhi kar sakte,

To apke liye CanvaStockSnap, PixbayPixels ye website hai, Try kar sakre hai.

11. Learn to Adapt to New Things :

Mai blogging bhut dino se kar rahi hu, aur is journey me mujhe kafi kuch sikhne ko mila hai. Aur aap ek beginner blogger hai to apke liye bhi ye bhut important beginners blogging tips hai, Jo ki apko har situation me follow karna hi chahiye.

Ek best blogger banna chahte hai to aapko din ke 5 hour blogging ke liye nikalna hoga, jisme se 1 hour apko daily blogging ka study karna zaruri hai.

Aap iss trah se study kar sakte hai:

  • Blog post
  • Books
  • Facebook groups
  • Courses
  • Forums
  • Conferences
  • meetups

Ye ek bhut hi Best Beginner blogger Tips hai, Ek course ya ek blog bhut achha way hai practise, new tools aur blogging strategy ko janne ke liye.

12. Be Authentic :

Ek New blogger, jab blogging start karte hai to unke liye dusre blogger ki language style, image style etc, ko copy karna to bhut asaan hai, Aap bhut sare blogger ki post bhut der tak pdhte hai.

Aur fir jab aap apna blog likhna start karte hai to apke mind me bhut sari chizen ek sath chlti rhti hai, jiske wajah aap khud bhi waise blogging nahi kar pate jaise apko karna chahiye.

Aapko apni voice style, language style ko dhundne me thora waqt lagega, Aap ek friendly type blogger bhi ho sakte ho, Teacher typr bhi ho sakte ho, ya fir aap funny and witty(mazakiya) bhi ho sakte ho. Apka style kuch bhi ho sakta hai.

13. Get Down With Affiliate Marketing :

Blog tip me aap ne hamesha suna hi hoga ki Affiliate Marketing start kro, Wo sirf isliye Kyunki yaha pe 1000+ pin hai jiske help aap apne blog pe 1000+ dollor asani se bna sakte hai.

jab aap Affiliate Marketing ke bare deeply jaan jaenge, Tab apko pta chal jaega ki ye kitna easiest way hai blog se money earning ke liye. Ye beginning me to zayada work nahi karta hai, But hai kuch waqt baad jab kuch traffic ho jaega apke blog pe to ye work karega.

Social media Bhut hi easiest way hai Affiliate Marketing ko parmote karne ke liye.

14. Maybe Also Offer a Service :

Agar aap really blog se money earning karna chahte hai to, apko consider karna hoga ki apka kon service offer kar sakte hai. Jaise apko jis bhi topic me pura knowledge hai like Pinterest, Graphic, Business, Blogging Or anything.(newborn sleeping, health and wellness, exercising etc.) To aap ek online coach ban sakte hai.

Aap ek blog writing bhi offer kar sakte hai, ek freelancer writer bhi service de sakte hai. iss tarah aap money earn bhi kar sakte hai.

15. Have an Easy to Navigate Blog :

Hmesha dhyan rakhe ki apka blog post kisi ko padeshan to nahi kar raha, isse apke visitors pe negative impact padega. Agar apke website ka advertisement visitors ko bar bar pop up kar ke niche me ata hai to, Visitors bhut irritate ho jate hai.

Jab aap blog likhte to us time pe pura dhyan apne Audience pe rakh kar likhiye ki unko kia pasand aaega, Aur sirf important news hi dijiye faltu guides mat dijiye Kyunki isse aapke website par negative impact pad sakta hai.

Bus itna hi, Hame umeed hai ke aapko ye article ( Beginners Blogging Tips informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.

Blogging as a Career || Everything you need to know !!

  Aaj humlog baat kar rhe hai   blogging   ( Blogging as a Career) ke bare me. Basically blogging ka matlb hota hai apne opinion ko writing ...